Tuesday, March 12, 2019

Nafrat Q Akhir

acha dost apko main ne btaya tha k shaz ki shadi kay bad buht kushi ka muasam tha. pher ye kia hoa k shaz k husband ne us ko buht takleef di jis ko shaz ne buht bardast kia akhir kab tak ye sub bardast kartay aik din shaz ne kaha ap ko muj se itni taleef q hai tu us ne kaha k taleef ni galti hai k jo maine ap se shadi ki.

                  shaz ko thora thora maloom honay laga kay kuch na kuch masla hai ya pher sari dal hi kaali hai jis per shaz ne tehkik krna shuro kr dia. Tehkik krney se pta chala kay us kay husband kay kis ourat kay sath chakar chal rha hai. jis waja se woh her bat pe naraz ho jata tha ur us ko marta tha.
per dosto ye bat tu ni kay banda kisi ki waja se apni wife se lara krey. kisi ki khatir apna ghar barbad krna tu acha ni .
                 
                      shaz kay husban ne akhir us se judai ka irada kr lia ur wo apne husban se taluq khatam ni krna chati the. leken wo akhir kia krti . shaz chup kr kay beth gai. Ejaz us kay husban ka naam tha wo kaam pe chala ga ur sham ko aya tu us ne socha kay us ki wife chali gai ho gi leken shaz ka zehan taluq khatam krnay wala ni tha. Ejaz ka us ko apne ghar dekh kr aik bar pher gusa aa gia ur pher us ne apni wife ko marna shuru kr dia. ur us ko raat ko ghar se bahir nikal dia karachi jesa sher ur pher apna b koi na .

Ab Kia ho Ga

          ye tu bhala ho Haroon bhai ka jo shaz ne call ki ur ghar ka address maloom kia ur pher bus pe haroon bhai kay ghar chali gi ur saad ko b apne sath lay gai . saad khan us waqt chota bacha tha kam az kam us waqt saad ki age ho gi 5mont . Allah ka shukur kay shaz Haroon bhai kay ghar punch gai.
Haroon bhai ur un kay ghar walon ne shaz se itni raat ko call krne ur apna ghar se ane kay bare mein maloom kia tu shaz ne btaya kay us kay husban ne us ko mara hai ur ghar se bahir nikal dia hai ur kaha hai meri zindege se nikil jao. tu main ab kia krti mujay kuch smajh ni arah tha ur itne baray sher mein mera b tu koi ni tha akhir main kia krti kahan jati tu mujay kuch smajh na aaya tu pher mujay haroon bhai yaad aye tu meray pass un ka number b tha tu main ne un ko call ki pher main yahan punch gai ...

Haroon Kun Tha?

             ap ko aik baat main ap ko btata chalo insaniyat buht bari chezz hoti hai ur jab kisi ko ap ki zaroorat paray tu kisi ko mana ni krna ur us ki help zaroor krna q kay kisi help krnay se dil ko sakoon milta hai ur ye sadqa b hai Allah b khush hota hai.
                    
chalo Haroon kun tha ye bat tu main b theak se ni jata leken us ka zikir krna b buht zaroori tha. Q kay kis kisi kay koi lakhon khaa kr b koi bhol jata hai ur kisi kay aik methay bhol ko yad rhktay hain log. haroon jo b tha bhut naik dil insan ho ga Q kay us ne shaz ko apni sister kaha tha . shaz us ko ni janti Ejaz jo hai wo haroon kay ghar jata tha ejaz ki haroon kay sath dosti thi ur haroon ghar walon ko us ne apni amma abu bnaya hoa tha jis waja se Ejaz shaz ko b haroon kay ghar lay gia tha . bus shaz ki haroon ur ghar walon se wahi mulaqat the. haroon kay ghar waley bhut achay the un logo ne shaz ko apni beti bana lia tha.
             shaz b un ki bari tareef krti the kay haroon ur un ki ami api abu bhut achay hain shaz mujay kehti thi chalay gay kabi un kay garh main b kehta tha zaroor chalay gay pher kai saal guzar gay na hum gai na wo aye q pher hum ne un ko tu yaad rhka shaid wo hi humay bhol gai pher akhir hum un kay ghar ka pta b bhol gai ur un ka number b delete ho gia ur pher un se  rabta b khatam ho gya.
achay insaan ko achay lafzoon main yaad kia jata hai ur buray insaan ko buray lafzoon main yaad kia jata hai........

Ejaz Ko Bulana Phara

              mujay ye btaen kay aik banday ne apni wife ko ghar se raat kay andheray main ghar se bahir nikal dia ho tu pher wife us ko call ya bula tu nai skti pher b haroon ur un ki ami ne shaz kay kehanay per ejaz ko apnay ghar bulaya kay ap se kuch bat krni hai jab wo un kay ghar phucha tu us ne shaz ko un ghar paya tu wo pher gusa ho gya kay ye yahan kia kr rhi hai. un logo ne ejaz ko smajaya kay wo ye theak ni kr rha aik larki ap kay sath punjab se apne ghar waloon ko chor kr sirf ap kay sath zindege guzarne ai hi tu us ko q martay ho or apney ghar se b bahir nikal dia ye baat to galt tu door insaaniyat kay b khilaf hai ap us ko na mara kro ur is ko apnay sath garh lay jao.
            haroon ki ami ne ejaz se kaha kay shaz jesi larki ap ko mili hai ap is kay qabil b ni ho pher b ye larki ap ko mili hai kuch tu hush kay nakhoon lo ur shaz ki ezat kia kro akhir ye ap ki wife hai jis ejaz ne kaha ye meri wife ni hai ur ye mera bacha ni hai .
jess per haroon kay ghar waloon ne ejaz ko buht smajaya kay esa na kro apna ghar barbad na kro aik din ap buht pastao gay jis per ejay ne kaha mujay kisi ki koi parwa ni jo ho ga dekha jae ga pher main is ko apne sath ni rakhon ga.
            akhir haroon kay ghar waloon kay smajanay per woh apni wife ko apney sath tu lay tu aya leken aye rooz un kay jagaray ur lariyan hoti rhti thi.pher aik din ejaz khushi mod main tha ur apni wife se kehney laga kay aj punjab chaltay hain jis per shaz b khush ho gi ur woh ejaz kay sath punjab aa gai . ab kuch arsaa ejaz ur shaz sath khush rahay kuch dino kay bad ejaz ne kaha kay main kam kay liay karachi ja raha ho kuch dino kay bad ap ko bula lon ga. pher kia ho kay ejaz ne call krna b band kr dia bat krna b band kr dia pher aik 1 saal guzar gia ejaz ne rabta na kia pher 2sra saal b guzar gia ejaz ne rabta na kia akhir 10 saal guzar gai ejaz ne rabta na kia pher kia hona tha hum usko dhondtay rahay hmy wo na milla wo punjab ata b tha tu chup chup kay kahi kisi ko pata na chal jae kay ejaz aya hoa hai us insaan ko apni wife tu door ki bat hai us ko apne bachay ki b koi parwa ni the 

Shaz Ab Kia Krti

      ab shaz ko kia krna chai tha kuch ap b tu bato us ne buht kosish ki leken ejaz se koi rabt na ho akhir shaz ne us ko yaad krna chor dia ur 10 saal tak wo apnay abu ami ur bhai ki batein sunti rhi preshani kay aalam rhi her rooz dua krti thi kabi kushi kay din aen gay len 10. 12  tak us kushi ka mu tak na dekha roz ro ro kr bura hal tha wo ejaz kay liay ni roti apni kismat pr roti thi kay Allah ne jo us ki kismat mein likh dia hai woh us per shukr krti ur pher sabir kr leti thi.
        shaz ne sucha kay ghar mein free rhnay se behtar hai kuch kr leti hon pher us ne socha kapray silai ka kam karti ho us kam mein b kuch maza ni tha pher shaz ki dost ne masoora dia kay ap L.H.V ka sekh laytay hain, shaz ne aik 2 din kam krnay chali gai us ne socha kay agar kam acha hoa tu kron gi warna chor don gi shaz ka walid shb yani khan G is baat se razi ni thay kay un ki beti kam krney k liay garh se bahir jae leken shaz ki maa ne kaha kay ye ghar paray paray persan hoti chalo bahir kam krnay jae gi tu kuch preshani tu kami ho gi is ki . 

 Kaam Kaam ur Kaam

        shaz ne phelay uch sharif main aa kr kam seknay lagi kuch arsa lagya shaz dil se kaam pe dehan dey rhi thi q kay us pata tha kay ab agar koi kam ni kia to pher preshani mera mukadar ban jae gi pher us ne kaam ko kuch arsay mein mukamal sekh li shaz ko kaam sekhnay kay kai jaga kaam karna phar aakhir jeet us ki hoi us ne Ab us ne L.H.V  ka course krnay irada kia kay us kay pass sanad b tu honi chaiay tu shaz ne alipur gujjar chowk per aik intitute hai jes mein shaz ne admission leay lia . shaz ne is course ko b dil laga kr compelte kia kuch arsay bad us ne prectise krna shuro kr lia ur pher shaz wapis 3 saal ka course karany kay bad wapis uch Alia hashmi kay hospital main kam kay liay aa gai wahan per shaz ne kafi arsa kam kia pher shaz ne wah se kam chor dia pher us kay ghar kay sath aik hospital tha waha us ko job mil gai jo aj tak job kar rahi hain ..
    Allah ka shukur hai kay ab wo khush hain ur job b kr rhi hai ur saad ko taleem b day rhi hain achay se achi cheez kahtay b hain ur saad ko b achay se achay school dakhil kia hoa hai . Zindegi kuch is trha b imtihan leti hai ab b wo imtihan mein hain leken khush hain saad bara ho gia hai na sirf us ki waja se shaz ne shadi b ni ki sirf apne betay saad kay liay ur saad b acha bacha hi agay saad ki kahani b  batao ga .shaz ki zindge ko jitna b byaan kro wo kam hai .. 
              per aik bat ap se zaroor kahon ga kay shaz ne takleef ziyada ur khushi kam dekhi hai is liay jita ho skay apny ghar walon se pyar banta kro buht sakoon milta hai.
Allah ap sub ka hami o nasir ho miltay hain zindege kay mazeed naseeb o faraaz mein hamesha kush raho aabad raho wisro na  yaad raho.....

No comments:

Post a Comment